Link to a video with Faiz reciting the poem and explaining
the context in which he wrote it.
http://www.youtube.com/watch?v=Ara199ZUiKQ
--------------------------------------------------------
chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kaafi nahin
tohmat-e-ishq-e-posheeda kaafi nahin
aaj baazaar me pa-bajaolaan chalo
dast-afshaan chalo mast-o-raksaan chalo
khaak-barsar chalo khoon-badamaan chalo
raah takta hai sab shahar-e-jaanaan chalo
haakim-e-shahar bhi majmaa-e-aam bhi
subah-e-nashaad bhi roz-e-naakaam bhi
teer-e-ilzaam bhi sang-e-dushnaam bhi
inka damsaaz apne siwa kaun hai
shahar-e-jaanaan mein ab ba-safa kaun hai
dast-e-qaatil ke shaayaan raha kaun hai
rakht-e-dil baandh lo dil-figaaro chalo
phir humeen qatl ho aayein yaaron chalo
-------------------------------------------------------
Saturday, April 19, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment